Kyun na phootay meri rag-rag se ujala tera Oarh rakkha hai mere jism ne saya tera
Lag gayi hain mere chehray pe hazaron aankhen Par gaya jab se mere zehan pe parda tera
Rashk karti hain zamanay ki hawaein mujh par Meri sham'on ko liye phirta hai jhonka tera
Koi aahat mujhe gumrah nahi kar sakti Sabt har saans pe hai naqsh-e-kaf-e-pa tera
Tishnagi, jab teri rehmat ko sada deti hai Mere honton se lipat jata hai darya tera
Main ne chaha tujhay, yeh bhi hai nawazish teri Warna har ek ko sadqa nahi milta tera
Meri haisiyat-e-izhar-e-mohabbat kya hai Chand Mushtaq tera, abr bhi pyasa tera
Arsh-e-Azam ki yeh tasveer bana sakta hai Rozah dekha hai Muzaffar ne bhi Aaqa tera





