Kyun hain shaad deewane! Aaj ghusl-e-Kaaba hai Jhoomte hain mastaane aaj ghusl-e-Kaaba hai
Ghusl ho raha hai par hain tawaaf mein mashghool Gird-e-shama parwane aaj ghusl-e-Kaaba hai
Chal Madinah walon par saqiya karam kardo Do chalakte paimaane aaj ghusl-e-Kaaba hai
Apne Rab ki ulfat mein pesh kijiye milkar Aansuon ke nazraane aaj ghusl-e-Kaaba hai
Jaan-e-Rehmat aajao honge khair se aabad Sab dilon ke veerane aaj ghusl-e-Kaaba hai
Jaan ko musarrat hai rooh ko bhi hai farhat Is khushi ko dil jaane aaj ghusl-e-Kaaba hai
Lutf jo mila mujhko kya bataun main Attarؔ Is ko mera dil jaane aaj ghusl-e-Kaaba hai





