Kutiya mein ek charagh jala aur mach gayi dhoom sitaron mein Maan ki aaghosh mein paaon rakhe aahat goonji darbaron mein
Insaniyat sar-e-surkh-roo hui, dastar-e-zamana rafoo hui Pairon tak un ka lahoo pahuncha jab Taif ke bazaron mein
Imaan-o-yaqeen se milwaya, mehroomon ko haq dilwaya Sehraon ko sairab kiya ro ro ke unhon ne gharon mein
Har ghazwa ek musalla tha woh thay ya un ka Allah tha Sajdon pe nichawar keen raatein, din piro diye talwaron mein
Tanha bhi woh lashkar lagte thay woh sab se qad-aawar lagte thay Jab saamne aate thay dushman, munh de lete minqaron mein
Abu Bakr-o-Umar-o-Usman-o-Ali charon se unhi ki baat chali Un ke qadmon ki shamma jali, mehrabon mein minaron mein
Ummati Muzaffar hum un ke, hum kya, saare aalam un ke Jo takht-o-taj ke waris thay aur rehte thay nadaron mein





