Kuch karein apne yaar ki baatein Kuch dil-e-daghdaar ki baatein
Hum toh dil apna de hi baithe hain Ab yeh kya ikhtiyaar ki baatein
Main bhi guzra hoon daur-e-ulfat se Mat suna mujh ko pyaar ki baatein
Ahl-e-dil hi yahan nahin koi Kya karein haal-e-zaar ki baatein
Pee ke jaam-e-mohabbat jaanaan Allah Allah khumaar ki baatein
Mar na jaana mata-e-duniya par Sun ke tu maal-daar ki baatein
Yun na hote aseer-e-zillat tum Sunte gar hoshiyaar ki baatein
Har ghari wajd mein rahe Akhtarؔ Kijiye us dayaar ki baatein





