Kuch aisa kar de mere kirdigar aankhon mein Ke jalwa gar rahe woh gul-e-izhar aankhon mein
Woh lala rukh ho agar jalwa baar aankhon mein Bahar-e-lala ho phir payedar aankhon mein
Nazar yeh kehti hai be-ikhtiyar aankhon mein Unhein jo dekhe wohi hai hazaar aankhon mein
Unhein na dekha to kis kaam ki hain yeh aankhein Ke dekhne ki hai saari bahar aankhon mein
Abhi ho ro-kash-e-arsh-e-bareen nazar mein Jo aaye arsh-nasheen tajdar aankhon mein
Nazar hai rashk-e-nazar iftikhar aankhon mein Jise kare woh nazar ikhtiyar aankhon mein
Banaye dil ko woh ghar rehguzar aankhon mein Nazar ho qadmon mein unke nisar aankhon mein
Base hain jab se Madine ke khaar aankhon mein Hawa hai sahan-e-chaman khar-zaar aankhon mein
Guzar ho unka kabhi be-qarar aankhon mein Guhar hon naqsh-e-qadam ashkbaar aankhon mein
Kuch aaye jaan paye intezar aankhon mein Karam se lijiye ab to qarar aankhon mein
Karam se jalwa kare jab nigar aankhon mein Kuch aaye saari chaman ki bahar aankhon mein
Phir aayein din mere Akhtar shab-e-hazoori mein Karam se jalwa kare jab nigar aankhon mein
Nigah-e-Mufti-e-Azam ki hai yeh jalwa-gari Chamak raha hai jo Akhtar hazaar aankhon mein





