Kuch aisa karde mere kirdar aankhon mein Hamesha naqsh rahe rooye yaar aankhon mein
Unhein na dekha to kis kaam ki hain yeh aankhein Ke dekhne ki hai saari bahaar aankhon mein
Basar ke saath baseerat bhi khoob roshan ho Lagaaun khaak-e-qadam baar baar aankhon mein
Nazar mein kaise samayenge phool jannat ke Ke bas chuke hain Madine ke khaar aankhon mein
Yeh dil tarap ke kahin aankhon mein na aa jaaye Hai phir kisi ka jamal-e-khumar aankhon mein
Piya hai jaam-e-mohabbat jo Aap ne Noori Hamesha is ka rahega khumar aankhon mein





