La mawjuda illallah la mashhuda illallah La maqsuda illallah la ma'buda illallah
La ilaha illallah amanna birasulillah
Hai mawjud-e-haqiqi woh hai mashhud-e-haqiqi woh Hai maqsud-e-haqiqi woh ma'buda-e-haqq-o-haqiqi woh
La ilaha illallah amanna birasulillah Hu hu hu hu hu hu hu Allah Hu Allah
Tera jalwa hai har su tu hi tu hai tu hi tu La ilaha illallah amanna birasulillah
Haqq Hu Haqq Hu Haqq Hu Haqq Rabbi Nas-o-Rabbi Falaq Ghair nahin tera mutlaq bhoolun ga main yeh na sabaq
La ilaha illallah amanna birasulillah
Antal-Hadi Antal-Haqq rang-e-batil is se faq Qalb-e-mubtil sun kar shaq qalb-e-muslim ki rounaq
La ilaha illallah amanna birasulillah
Rabbi hasbi jallallah ma fi qalbi illallah Haqq Haqq Haqq Allahu Allah Rabb Rabb Rabb SubhanAllah
La ilaha illallah amanna birasulillah
Laysa kamithlihi shayun laysa lahu kufuwan ahad Is se ban hai woh nahin ban absir isma' dekh aur sun
La ilaha illallah amanna birasulillah
Laysal-Hadi illa Hu kehta hai yeh har ban-e-mo Sunta hun main az har su Laysa siwaka ya man Hu
La ilaha illallah amanna birasulillah
Ban ko banaya hai us ne ban ko jamaya hai us ne Ban ko ugaya hai us ne baagh khilaya hai us ne
La ilaha illallah amanna birasulillah
Allah Ilah-o-Rabb-o-Ahad Fard-o-Wahid Witr-o-Samad Jis ka walid hai na walad zaat-o-sifaat mein be-had-o-ad
La ilaha illallah amanna birasulillah
Ek haqiqi hai woh Ahad ek nahin woh jo hai adad Paak hai woh az surat-e-wahd kayfa yusawwar kayfa yuhadd
La ilaha illallah amanna birasulillah
Mun'im-o-Haqq-o-Sami'-o-Basir Baqi Bari Barr-o-Khabir Jami' Mani' Manar-o-Kabir Rafi' Nafi' Hayyu Qadir
La ilaha illallah amanna birasulillah
Hakamo Adalo Ali-o-'Azim Dayyan-o-Rahman-o-Rahim Quddus-o-Hannan-o-Halim Fattah-o-Mannan-o-Karim
La ilaha illallah amanna birasulillah
Wali Wali Muta'ali Hakim Wahhab-o-Razzaq-o-'Alim Maliki yawmi din-o-jahim Malik-e-mulk-e-khuld-o-na'im
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai 'Azizo Mujib Shakur woh hai Badi'-o-Qarib Sabur Woh hai Matin-o-Hasib-o-Ghafur woh hai Mu'in-o-Raqib zarur
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Muqaddim aur Ghaffar woh hai Muhaymin aur Jabbar Woh hai Mu'akhkhir aur Qahhar woh hai Basit aur Sattar
La ilaha illallah amanna birasulillah
Nur Musawwir aur Zahir Batin Awwal aur Akhir Wajid Majid aur Qadir Mu'min Mutakabbir Qahir
La ilaha illallah amanna birasulillah
Tawwab-o-Mughni Hadi Muqsit Muhyi Mumit Ghani Muntaqim-o-Qayyum-o-Qawi Muqtadir-o-Wasi' Muhsi
La ilaha illallah amanna birasulillah
Mubdi Jalil-o-Hafiz-o-Majid Mu'ti Wakil-o-Salam-o-Mu'id Woh hai Latif-o-Wadud Wahid aur Shahid-o-Hamid-o-Rashid
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Jawadu 'Afuwwu 'Atuf Azali Abadi hai Ma'ruf Yasrifu 'anna jami'a suruf Mawlal-kulli wa Huwa Ra'uf
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai muhit-e-ins-o-jaan woh hai muhit-e-jism-o-jaan Woh hai muhit-e-kul azman woh hai muhit-e-kon-o-makan
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai Muqit-o-Mu'izzu Mudhill woh hai Hafiz-o-Nasir ai dil Baad-o-aatish-o-aab-o-gil sab ka woh hi hai fa'il
La ilaha illallah amanna birasulillah
Maadde us ne paida kiye us ke amr-e-Kun se bane Daur-o-tasalsul ke jhagde amr-e-Haqq se qata' huye
La ilaha illallah amanna birasulillah
Qabiz-o-Ba'is Khaliq hai Khafizu Waris Raziq hai Jo hai us ka 'ashiq hai ghair-e-natiq natiq hai
La ilaha illallah amanna birasulillah
Koi na us se sabiq hai koi na us se lahiq hai Kaun sana ke laiq hai natiq ghair-e-natiq hai
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sab hain hadis woh hai qadim koi nahin hai us ka nadim Paida us ne kiye hain fakhim aur usi ne banaye la'im
La ilaha illallah amanna birasulillah
Ek hi hai woh be-shak ek banda us ka har bad-o-nek Kafir dil mein us se atik apne dil ki hai yahi tek
La ilaha illallah amanna birasulillah
Saajhi na us ka koi sharik wahi Malik hai wahi Malik Paak makan se aur nazdik dekhe sune past-o-barik
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh hai munazzah shirkat se paak sukun-o-harkat se Kaam hain us ke hikmat se karta hai sab qudrat se
La ilaha illallah amanna birasul
Ek wujud-e-haqiqi tha ghair sarasar fani huwa Haqq-bin nazar se jab dekha bar-mala keh uthe 'uqala
La ilaha illallah amanna birasulillah
Baqi wujud-e-haqiqat tha baqi yaksar manfi huwa Keh uthe yeh ba'z 'urafa ma fi hubbi illallah
La ilaha illallah amanna birasulillah
Har har zarra har qatra shahid hai har har lamha Us ki qudrat-o-san'at ka yaktayi-o-wahdat ka
La ilaha illallah amanna birasulillah
Allah Wahid-o-Yakta hai ek Khuda bas tanha hai Koi na us ka hamta hai ek hi sab ki sunta hai
La ilaha illallah amanna birasulillah
Ek na hota gar Allah kaise rehte arz-o-sama Hota na ik mohtaj ik ka kis liye yeh us se milta
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sota pita khata nahin us ka rishta nata nahin Us ke pita aur mata nahin us ke joru jata nahin
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jahl-o-zulm-o-kizb-o-zina khwari meikhwari saraqa Is se mumkin jis ne kaha La-rayb us ne kufr baka
La ilaha illallah amanna birasulillah
Ruh nahin hai woh na jasim maqsim hai woh na qism-o-qasim Us ke sifaat-o-asma qadim yeh hai apna din-e-qawim
La ilaha illallah amanna birasulillah
Hai woh zaman-o-jihat se paak woh hai dhamim sifaat se paak Woh saare muhalat se paak woh hai sab halaat se paak
La ilaha illallah amanna birasulillah
Paak hai aibon se Mawla aib ko us se 'alaqa kya Aib us ka saleh na huwa ho muta'alliq qudrat ka
La ilaha illallah amanna birasulillah
Roshan hai yeh jaise din us ka talut namumkin Waqi' kehta hai Mohan aur phir banta hai Momin
La ilaha illallah amanna birasulillah
Man asdaqu minhu qila man asdaqu minhu haditha Kaisa kaisa Rabb ne kaha munkir ek nahin sunta
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sidq-e-Rabb jab wajib hai kizb muhal ai kha'ib hai Jam'-e-do-zid kab ja'iz hai 'aql kahan teri gha'ib hai
La ilaha illallah amanna birasulillah
Us ka khaye o munkir aur ghuraye o kafir Kaun hai deta o ghadir us ke siwa han o fajir
La ilaha illallah amanna birasulillah
Main hun banda woh Mawla kaun hai apna us ke siwa Main hun us ka woh hai mera jis ne banaya aur pala
La ilaha illallah amanna birasulillah
Chaar 'anasir paida kiye jo sab aapas mein zid the Ek girah mein kaise bandhe yakja kaise jam' huye
La ilaha illallah amanna birasulillah
Aankhon mein woh hai sar mein woh dil mein woh hai jigar mein woh Sam' mein woh hai basar mein woh tab' mein woh hai fikr mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Nur mein woh hai nazar mein woh shams mein woh hai qamar mein woh Abr mein woh hai guhar mein woh koh mein woh hai hajar mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Parwana mein hai par mein woh shama' mein woh hai sharar mein woh Da'-o-dawa-o-asar mein woh nafa' mein woh hai zarar mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Tukhm mein woh hai shajar mein woh shaakh mein woh hai samar mein woh Maah mein woh hai badr mein woh bahr mein woh hai barr mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Soz mein woh hai saaz mein woh naaz mein woh andaaz mein woh Husn-e-but-e-tannaz mein woh ishq ke raaz-o-niyaz mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Tu mein woh hai man mein woh jaan mein woh hai tan mein woh Aabadi mein hai ban mein woh sar mein woh hai 'ilan mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Juz mein woh hai kul mein woh rang-o-bu-e-gul mein woh Afghan-e-bulbul mein woh naghmat-e-qulqul mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Qurb-o-liqa-o-wasl mein woh bu'd-o-firaq-o-fasl mein woh Farz mein woh hai nafl mein woh asl mein woh hai naql mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Fath-o-zamm-o-jarr mein woh pesh-o-zer-o-zabar mein woh In-o-aan-o-digar mein woh is mein is mein har mein woh
La ilaha illallah amanna birasulillah
Bulbul toti parwana har ik us ka diwana Qumri kis ka mastana kaun chakaur ka janana
La ilaha illallah amanna birasulillah
Shama'-o-gul-o-sarv-o-sara'at hain mira'at-e-lihaz-e-zaat Warna hayhaat-o-hayhaat puchta koi un ki baat
La ilaha illallah amanna birasulillah
Khud gul-e-kuzah-o-kuzah-gar khud kuzah-o-khud kuzah-bar Qaul-e-Rumi kar bawar iman hai ai kura kar
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jalwe us ke hain harja zaat hai us ki ja se wara Qudrat se woh in mein huwa zaat mein hai woh sab se juda
La ilaha illallah amanna birasulillah
Nit naye jalwe hain har aan Kulla yawmin Huwa fi sha'n Khud hi dard-o-khud darman khud hi dast-o-khud daman
La ilaha illallah amanna birasulillah
Har dil mein hai us ki lagan aankhon mein woh nur-afgan Kya sahra aur kya gulshan mehr-e-wujud ki ek kiran
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sarv-o-sumbul aur saman shamshad-o-sanobar aur sawsan Nargis nasrin sara chaman us ki sana mein naghma-zan
La ilaha illallah amanna birasulillah
Mawla dil ka zang chura qalb-e-Nuri paye jala Dil ko karde aina jis mein chamke yeh kalma
La ilaha illallah amanna birasulillah
Apne karam se Rabb-e-Karim hum pe kiya ehsan-e-'azim Bheja hum mein bafazl-e-'amim bahr-e-karam ka durr-e-yateem
La ilaha illallah amanna birasulillah
Apne mazhar-e-awwal ko apne habib-e-ajmal ko Pehle Nabi-e-afzal ko pichle mursal-e-akmal ko
La ilaha illallah amanna birasulillah
Woh jinhein anfus farmaya behtar-e-brtar-a'la kiya Woh rutba un ko bakhsha koi nahin jo pa sakta
La ilaha illallah amanna birasulillah
Aisi fazilatein un ko dein jin ka misl imkan mein nahin Ruh-e-rawan-e-khuld-e-barin nakhl-e-jahan ke asl matin
La ilaha illallah amanna birasulillah
Naib-e-Hazrat-e-Haqq matin shahanshah-e-charkh-o-zamin Wali-e-takht-e-'arsh-e-barin rahat-e-jaan-o-qalb-e-hazin
La ilaha illallah amanna birasulillah
Mawj-e-awwal bahr-e-qidam mawj-e-akhir bahr-e-karam Sab se a'la aur a'zam sab se awla aur akram
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jin ko banaya apne liye sab ko banaya jin ke liye Kab unhein de ke un se liye par sab chore tere liye
La ilaha illallah amanna birasulillah
Nur se apne paida kiya nur-e-Habib-e-Rabb-e-'ala Phir us nur ko hisse kiya un se banaya jo hai bana
La ilaha illallah amanna birasulillah
Zaat ka apni aina be-misl-o-nazir-o-be-hamta Khalq kiya qabl-az-ashya aur nabuwwat kardi 'ata
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jab Haqq ko huwa yeh manzur 'alam par farmaye zuhur Ho khud ma'ruf-o-madhkur jilbab-e-khafa karde dur
La ilaha illallah amanna birasulillah
Qalib-e-Adam khalq kiya ruh dar aaye hukm huwa Ruh dar aayi jab dekha putle mein hai nur-e-Khuda
La ilaha illallah amanna birasulillah
Adam-o-'alam paida huye nur se saare huwayda huye Jo jo us par shayda huye Rabb ke wahi garwida huye
La ilaha illallah amanna birasulillah
Lauh-e-jabin-e-Sayyiduna Adam mein woh nur-e-Khuda Jab tali' huwa to un ka tali'-e-qismat bhi chamka
La ilaha illallah amanna birasulillah
Nur-e-Khuda ki barkat thi rehne ko jannat payi Nudrat-e-dawlat-e-'ilm mili aur Adam huye Haqq ke Nabi
La ilaha illallah amanna birasulillah
Haqq ne 'ilm-e-asma diya jo na malaik ko bakhsha Woh malaka farmaya 'ata un par un ko ghalba diya
La ilaha illallah amanna birasulillah
Adam ko sharaf aisa mila aadmi ashraf-e-khalq huwa Un ko Khalifa Haqq ne kiya taj-e-karamat sar pe rakha
La ilaha illallah amanna birasul
Wasta yeh us nur ka tha Hazrat-e-insan qibla bana Saare farishton ne sajda pesh-e-Safiyullah kiya
La ilaha illallah amanna birasulillah
Paak giroh-e-muqaddas ka ek 'allama mu'allim tha Qawm jin se tha paida tha us se ghura ibadat ka
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jab sajda ka hukm huwa sab ne kiya us ne na kiya Aur mutakabbir ne yeh baka yeh mitti mein angara
La ilaha illallah amanna birasulillah
Us ko aab-o-gil sujha munkir ho kar shaitan bana Jin ke sabab woh hukm huwa us ne woh nur nahin dekha
La ilaha illallah amanna birasulillah
Yari jo nur nahin karta dekhte kaise fauq-e-sama Nam-e-Habib-o-nam-e-Khuda saaq-e-'arsh pe likha huwa
La ilaha illallah amanna birasulillah
Josh pe aaya raham ka dariya jab Sayyiduna Adam ne diya Wasta us nur-e-Khuda ka maqbul huyi yun tawba
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jab Hazrat ka ji na laga tanhayi se ghabra utha Dil-jam'i ke liye Hawwa khalq ki be-misl-o-hamta
La ilaha illallah amanna birasulillah
Hawwa se jab Adam ka 'ahd-e-mahr-e-durud huwa Adam se woh nur-e-Khuda zawja ko tafwiz huwa
La ilaha illallah amanna birasulillah
Peshani-e-Shis mein aaya salbon rahmon mein hota Peshani-e-Nuh mein aaya phir aise hi aage barha
La ilaha illallah amanna birasulillah
Hazrat-e-Nuh Najiyullah Adam-e-sani 'alam ka Yaar na gar yeh nur hota un ka safina kab tarta
La ilaha illallah amanna birasulillah
Ibrahim Khalilullah aag mein jin ko dala gaya Un ka hami nur huwa naar ka buq'a baagh bana
La ilaha illallah amanna birasulillah
Tahir salbon mein hota paak arham mein rehta huwa Hona chaha jalwa-numa batn-e-Aamina mein aaya
La ilaha illallah amanna birasulillah
Aamina ne yeh farmaya haml ki kulfa thi na zara Jitna qarin az-waz'a huwa main sunti zyada marhaba
La ilaha illallah amanna birasul
Maah-e-awwal mein Adam dusre mein Idris afkham tisre mein Nuh-e-akram chauthe mein Khalil-e-arham
La ilaha illallah amanna birasulillah
Panchwein mein Isma'il chhatwein mein Kalim-e-Jalil saatwein mein Dawud-e-Jamil hashtam mein Sulaiman-e-Jalil
La ilaha illallah amanna birasulillah
Maah-e-nahum Hazrat-e-'Isa aaye mujh ko mujhda diya Is mawlud-e-mubarak ka aur Ruhullah ne bhi kaha
La ilaha illallah amanna birasulillah
Sun lo jab yeh nur-e-Khuda paida ho to tum us ka Nam-e-paak Ahmad rakhna salla 'alayhi da'ima
La ilaha illallah amanna birasulillah
Aur kisi ne yeh bhi kaha khwab mein mujh se Aamina Pet mein tere ummat ka sardar hai Allah Allah
La ilaha illallah amanna birasulillah
Pet mein the jab yeh Sarkar us se pehle ke azkar Khushk the sab barg-o-ashjaar sookh gaye the ab athmar
La ilaha illallah amanna birasulillah
Be-saz-o-bargi ke siwa koi phala aur phula na tha Batn mein jalwa-farma tha jab ki huwa woh nur-e-Khuda
La ilaha illallah amanna birasulillah
Qawm masa'ib ki thi shikar aur aafton se thi do-char Aur zulmon ki thi bharmar ek ko ik karta nachar
La ilaha illallah amanna birasulillah
Jaur-o-jafa tha un ka shi'ar niyyat rakhte the woh khwar Na-tamam amanat-e-Rasul Nuri ghufiralahu





