Koi Jibrail aakar, kare chaak mera seena Jahan dil dhadak raha hai wahan taank de Madinah
Mare aansuon ke andar mare ishq ka samandar Jo uthe talatumon se wahi mauj hai safeena
Gham-e-ishq-e-Mustafa ﷺ mein rahein gharq subhein shamein Mara dil bhi ek tijori mara dard bhi khazeena
Mare daftar-e-amal ka ho tamam bojh halka Karoon apni teergi mein jo ibadat-e-shabeena
Main gaya tha daagh le kar aur utha charagh le kar Mara dil, dil-e-munawwar, mari chashm, chashm-e-beena
Chaloon un ke peeche peeche to ho dil qadam ke neeche Mare Mustafa ﷺ ki aahat mare irtiqa ka zeena
Dil-e-masiyat zada mein, unhein main bula to laya Mari aankh se Muzaffar gire aap ka paseena





