We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Kiya Theek Ho Rukh e Nabwi Par Misaal e Gul

Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi

Kya theek ho rukh-e-Nabvi par misaal-e-gul Paamaal jalwa-e-kaf-e-pa hai jamaal-e-gul


Jannat hai un ke jalwa se jooya-e-rang-o-bu Ae gul hamare gul se hai gul ko sawaal-e-gul


Un ke qadam se sal’ah-e-ghali hui jina Wallah mere gul se hai jaah-o-jalaal-e-gul


Sunta hoon ishq-e-Shah mein dil ho ga khoon fishan Ya Rabb yeh muzdah sach ho mubarak ho faal-e-gul


Bulbul Haram ko chal gham-e-fani se faida Kab tak kahe gi haaye woh ghunj-o-dalaal-e-gul


Ghamgeen hai shauq-e-ghazah-e-khaak-e-Madinah mein Shabnam se dhul sake gi na gard-e-malaal gul


Bulbul yeh kya kaha main kahan fasl-e-gul kahan Umeed rakh ke aam hai jood-o-nawaal-e-gul


Bulbul! ghira hai abr-e-wila muzdah ho ke ab Girti hai aashiyana pe barq-e-jamaal-e-gul


Ya Rabb hara bhara rahe daagh-e-jigar ka baagh Har mah mah-e-bahaar ho har saal saal-e-gul


Rang-e-muzhah se kar ke khajil yaad-e-Shah mein Kheencha hai hum ne kanton pe itr-e-jamaal-e-gul



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Main yaad-e-Shah mein rowoon anadil karein hujoom Har ashk-e-lala-faam pe ho ehtimaal-e-gul


Hain aks-e-chehra se lab-e-gulgul mein surkhiyan Dooba hai badr-e-gul se shafaq mein hilaal-e-gul


Naat-e-Huzoor mein mutarannum hai andaleeb Shakhon ke jhoomne se ayan wajd-o-haal-e-gul


Bulbul gul-e-Madinah hamesha bahaar hai Do din ki hai bahaar fana hai ma’aal-e-gul


Shaikhain idhar nisaar, Ghani-o-Ali udhar Ghuncha hai bulbulo ka yameen-o-shimaal-e-gul


Chahe Khuda to payenge ishq-e-Nabi mein khuld Nikli hai namah-e-dil-e-pur-khoon mein faal-e-gul


Kar us ki yaad jis se mile chain andaleeb Dekha nahin ke khaar-e-alam hai khayal-e-gul


Dekha tha khwab-e-khaar-e-Haram andaleeb ne Khatka kiya hai aankh mein shab bhar khayal-e-gul


Un do ka sadqa jin ko kaha mere phool hain Keeje Raza ko Hashr mein khandaan misaal-e-gul

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah