Kitna gunahgar hoon, kitna kharab hoon Darbar-e-Mustafa mein magar baryab hoon
Mafhoom zindagi ka meri aur kuch nahin Madh-e-Rasool-e-Pak ka lubb-e-lubab hoon
Mansoob hoon Khuda se Khuda ke Rasool se Main kamyab hoon main bohat kamyab hoon
Aankhein mila ke baat na kar mujh se Aftab Main zarra-e-dayar-e-risalat ma'ab hoon
Mujh ko na kar sake gi juda un se maut bhi Darya-e-kainat hain woh main hubab hoon
Likhi hai har waraq pe Muhammad ki dastan Parhta rahe ga waqt jise woh kitab hoon
Woh khaak par chalein to hoon un ka nishan-e-pa Aur shahsawar hon to main un ki rikab hoon
Har shab jo ab diha ho Muzaffar mera zameer Har ek saans ke liye roz-e-hisab hoon





