Kise khabar, teri rehmat ki had kahan tak hai Shumar-e-just karun toh adad kahan tak hai
Buland qamati-e-Mustafa ﷺ mein kya batlaun Hawa se puchiye khushbu ka qad kahan tak hai
Har ek maqam pe mere woh kaam aaye hain Talab ko ilm hai unki rasad kahan tak hai
Yeh baat mujh se nahin un ke afw se pucho Mohabbat un se meri mustanad kahan tak hai
Barah-e-raast hawa aa rahi hai jannat se Batao qudsiyo meri lahad kahan tak hai
Khuda aur us ka payambar hi jaanta ho ga Kahan azal ka sira hai abad kahan tak hai





