Khwab roshan ho gaye mehka baseerat ka gulab Jab khila shakh-e-nazar par un ki ru'yat ka gulab
Guftagu khushbu ke lehje mein sikhai aap ne Khaar-e-nafrat chun liye de kar mohabbat ka gulab
Khulq ki khushbu tamam adwar mein rach bas gayi! Bagh-e-hasti mein khila yun un ki shafqat ka gulab
Zeest ke tapte hue sehra mein hai wajah-e-sukoon Un ki yaad, un ki tamanna un ki seerat ka gulab
Har sadi har ehd ke gulshan ko un ki aarzu! Har zamane mein khila hai un ki chahat ka gulab
Itra-asooda fazayein kyun na hon iss shehar ki Khak-e-Tayyaba ka har ek zarra hai jannat ka gulab
Naat likhta hoon Sabeh un ki ata ke saye mein Hai bayaz-e-naat ka har she'r rehmat ka gulab





