Khul gayin sarhadain, la-makani te aasman aa gayi Aap tashreef laye toh jism-e-do aalam mein jaan aa gayi
Waqt ka qafila, roshni ke safar par rawana hua Be-jahat zindagi, abd-o-ma'bood ke darmiyan aa gayi
Zarra zarra Hijaz-e-Muqaddas ka aaina-gar ban gaya Apne haath mein khilte hue phool le kar khizan aa gayi
Tang zehnon pe jab aap ne daal di ik kushada nazar Zaat ke qaidiyon mein bhi ik wus'at-e-be-karan aa gayi
Jab Muhammad ﷺ ki tanhai ne bheed ko hamnawa kar liya Khud garoh-e-yaqeen ki taraf nasl-e-wahm-o-guman aa gayi
Kalima aap ka sangrezon ko dekha jo parhte hue Pattharon ko Khuda kehne walon ke lab par azaan aa gayi
Jab madar-e-zameen se nikal kar qadam Mustafa ﷺ ne rakhe Aahaton ki taraf chand taare barhne kehkashan aa gayi
Jab madar-e-zameen se nikal kar qadam Mustafa ﷺ ne rakhe Aahaton ki taraf chand taare barhe kehkashan aa gayi
Main ne bheja hai jab bhi Muzaffar durood aap par, yun laga Jaise sheeriniyon ke shikanje mein saari zaban aa gayi





