Khuda ne Mustafa ﷺ ka ishq mere naam likh diya To main ne ek ek saans par salaam likh diya
Gaye jo Aap aasman par to aasman ne Qadam ke har nishaan ko mah-e-tamaam likh diya
Sada har ek ahd se suni jo rooh-e-waqt ne Sukoot ko bhi un ke haasil-e-kalaam likh diya
Woh aankh rooh tak gayi to zindagi mehak gayi Hawa ne us ghadi ko lamha-e-dawaam likh diya
Mere Huzoor ﷺ aa chuke to Rabb-e-Kainaat ne Nubuwwaton risalaton pe ikhtitaam likh diya
Zahe naseeb naama-e-amal kiya hai jab raqam Farishton ne bhi mujh ko Aap ka ghulam likh diya
Gira hai aankh se jo ashk Aap ke firaaq mein Ghamon ne us ko har firaaq ka imaam likh diya
Muzaffar un ke ishq se jise munasibat nahin Khud us ki zindagi ko ishq ne haraam likh diya





