Khuda mil jaaye ga, niklo ge jab su-e-Rasool Allah Tawaaf-e-Kaaba kya hai gardish-e-ku-e-Rasool Allah
Kahan hai noor ki surat bajuz ru-e-Rasool Allah Zara dekho miyan-e-chashm-o-abru-e-Rasool Allah
Haqeeqat fahm-e-insani mein aayi hai na aayegi Samajh rakhta hai yeh deewana-e-ku-e-Rasool Allah
Khuda aaya hai kis ke samne imaan lane ko Khuda ko sab ne mana dekh kar ru-e-Rasool Allah
Tajalli-gah-e-wahdat se chaman-zar-e-wilayat tak Koi shay ho, izafat sab ki hai su-e-Rasool Allah
Masham-e-jaan ko mehkati hai khushbu-e-shauq jab koi Mujhe reh reh ke yaad aati hai khushbu-e-Rasool Allah





