Khuda ki hai inayat Mah-e-Ramzan aane wala hai Hui Maula ki rahmat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Mah-e-Ramzan, Mah-e-Ghufran, Mah-e-Subhan, Mah-e-Rahman Khulein ge bab-e-jannat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Masajid hon gi phir abad shaitan jal mare nashad Mile momin ko farhat Mah-e-Ramzan aane wala hai
Dil maghmoom phir ik baar khushiyon se hua sarshar Hui hasil musarrat Mah-e-Ramzan aane wala hai
Khushi se jhoomta hai dil machi hai qalb mein halchal Mili aashiq ko farhat Mah-e-Ramzan aane wala hai
Taraveeh aur, namazon mein, kami ho gi na rozon mein Karo mil kar, yeh niyat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Ilahi! aafiyat dena, salamat dil ata karna Ata kar de tu sehat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Main Ramzan-ul-Mubarak paaun rozay saaray rakh paaun Tu rakh zinda salamat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Nabi ke ishq mein rou-oon, Madinay ke liye tarapoon Khuda de soz-o-riqqat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Rahoon qaim main tauba par, Khudaya fazl aisa kar Gunahon se de nafrat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Khuda aisi inayat kar, main kaanpoon khauf se thar thar Ho isyaan se hifazat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Ibadat mein riyazat mein, duroodon mein tilawat mein Ilahi! de de lazzat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Muhammad Mustafa صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّم ka wasta tu bakhsh de Maula Ata kar bagh-e-jannat, Mah-e-Ramzan aane wala hai
Khuda Attar ki bakhshish, tu farma de bila pursish Tufail-e-Aala Hazrat, Mah-e-Ramzan aane wala hai





