Khuda kare yun bhi ho ke ab fikr-e-danah-o-daam ho na koi Sana-e-sarkar-e-do jahan ke siwa mujhe kaam ho na koi
Utar kar us paar, doob jaaun main khud mein khud ko nazar na aaun Har aadmi jaanta hai mujhko, magar mira naam ho na koi
Samaan ho har waqt mere ghar ka tuloo hoti hui sahar ka Main jis ke saaye ki saltanat mein rahoon wahan shaam ho na koi
Yehi dua hai meri Khuda se, Muhammad ﷺ Mustafa ke sadqe Mere watan, meri sar zameen par, hareef-e-Islam ho na koi
Sada jo odhay phiray Muzaffar tasawwur-e-Mustafa ﷺ ki chadar Usi mein mayyat lapet dena bas aur ehram ho na koi





