Khuda jaane had-e-mazaagh nazron ki kahan tak hain Nazar ke ek ghoshey mein makan-o-la-makan tak hain
Zamana bhi na tha jab se Nabuwwat un ki jaari hai Tayyun kya kare koi kahan se hain kahan tak hain
Jamal-e-Mustafa ka hai mukammal jaiza kis ko Nazar itni kahan Sarkaar ﷺ ke jalway jahan tak hain
Pata kis ko chala ab tak tumhari jalwa-gahon ka Zamanay ki nigahain sirf qadmon ke nishan tak hain
Chamak uthay sabhi wabastagi paaye-aqdas se Tumhari rah ke zarray chand suraj kehkashan tak hain
Haqiqat benazar danishwari se shauq-e-pinhan hai Yeh ilm-e-zahiri walay faqat lafz-o-bayan tak hain





