Khusha jhooma ja raha hai safeena Pahunch jayenge InshaAllah Madinah
Ab aaya ke ab aaya Jeddah ka saahil Ab aayega Makkah chalenge Madinah
Main Makkah mein ja kar karunga tawaf aur Naseeb-e-aab-e-zamzam mujhe hoga peena
Khudaya Madinah nazar aaye joon hi Tadap ke giron dede aisa qareena
Na kyon meri qismat par rashk aaye mujhko Kahan woh Madinah kahan main kameena
Rahe wird-e-lab kaash! Har dam Elahi Madinah Madinah Madinah Madinah
Tadap uthe Aqa ke deewane Attar Madine ki jaanib chala jab safeena





