Kharab-e-haal kiya dil ko pur-malal kiya Tumhare koocha se rukhsat kiya nihal kiya
Na roo-e-gul abhi dekha na boo-e-gul soonghi Qaza ne la ke qafas mein shikasta-baal kiya
Woh dil ke khoon shuda armaan thay jis mein mil daala Fughan ke gor-e-shaheedan ko paimal kiya
Yeh raye kya thi wahan se palatne ki ae nafs Sitam-gar ulti churi se hamain halal kiya
Yeh kab ki mujh se adawat thi tujh ko ae zalim Chura ke sang-e-dar-e-pak sar wabal kiya
Chaman se phaink diya ashiana-e-bulbul Ujara khana-e-be-kas bara kamal kiya
Tira sitam zada aankhon ne kya bigara tha Yeh kya samai ke door un se woh jamal kiya
Huzoor un ke khayal-e-watan mitana tha Hum aap mit gaye acha faragh-e-baal kiya
Na ghar ka rakha na us dar ka haye nakami Hamari be-basi par bhi na kuch khayal kiya
Jo dil ne mar ke jalaya tha minnaton ka chiragh Sitam ke arz-e-reh-e-sarsar zawal kiya
Madinah chor ke virana Hind ka chaya Yeh kaisa haye hawaason ne ikhtilal kiya
Tu jis ke waste chor aaya Taiba sa mehboob Bata tu is sitam-ara ne kya nihal kiya
Abhi abhi to chaman mein thay chehcheh nagah Yeh dard kaisa utha jis ne jee nidhal kiya
Ilahi sun le Raza jeete ji ke Maula ne Sagan-e-koocha mein chehra mera bahal kiya





