We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Khak Purnoor Khuda jism Mein Dhal Kar UtraNot Verified

Muzaffar Warsi

Khak par noor-e-Khuda jism mein dhal kar utra Ek Quran-e-khad-o-khal bhi hum par utra



Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play


Naye rangon se murattab sehar-o-shaam huye Chashm-e-konain mein beenai ka paikar utra


Kis qadar aajiz-o-maskeen thi bulandi us ki Kursi-e-arsh liye ghar ke andar utra


Itni unchaiyon pe naqsh-e-qadam hain kis ke Itni gehraiyon mein kaun shanawar utra


Yun hui rooh ko mehsoos mohabbat us ki Jaise aaghosh mein darya ke samundar utra


Jab kabhi tan ki manderon se uraya hai ise Tair-e-dil usi deewar ke oopar utra


Rehmaten aayengi sau rang chhirakne ke liye Meri tauba ka jo chehra sar-e-mehshar utra


Us ke qadmon se tasawwur bhi hua door agar Yun laga, takht se jis tarah Muzaffar utra

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah