Kash! phir mujhe Hajj ka, izn mil gaya hota Aur rote rote main, Kash! chal pada hota
Haaye! phooti qismat ne, haziri se roka hai Kash! main Madine mein, phir pahunch gaya hota
Is safar ki tayyari, kar chuka tha main saari Kash! meri qismat ne saath de diya hota
Mere qalb-e-muztar ko bhi qaraar aa jaata Hajj ka muzda koi Kash! aake de gaya hota
Mujh ko chhod kar tanha qafila chala Taibah Kash! saath mein le kar mujh ko bhi gaya hota
Kash! in ki raahon ko phool aur kaanton ko Choomta gaya hota jhoomta gaya hota
Misl-e-saal-e-rafta phir Kash! chashm-e-tar le kar Sabz sabz gumbad ke rubaru khada hota
Mujh ko phir Madine mein is baras bhi bulwaate Aap ka bada ehsaan mujh pe yeh Shaha hota
Zair-e-Gumbad-e-Khazra ashkbaar aankhon ne Kash! meri furqat ka daagh dho diya hota
Kash! Gumbad-e-Khazra ke haseen jalvon mein Mera rote rote hi dam nikal gaya hota
Dam nikal gaya hota mera in ke qadmon mein Saath gar muqaddar ne mera de diya hota
Jin dinon Madine mein haziri hui thi Kash! Mar ke un ke koochay mein dafn ho gaya hota
Kash! aisa ho jaata gore gore qadmon mein Gir kar aap ka Attar aap par fida hota





