Kash! dasht-e-Tayyabah mein, main bhatak ke mar jaata Phir Baqi-e-Gharqad mein dafn koi kar jaata
Kash! jaanib-e-Tayyabah aah! yun agar jaata Chaak chaak main le kar seena-o-jigar jaata
Kash! gumbad-e-Khazra par nigah parte hi Kha ke ghash mein gir jaata phir tarap ke mar jaata
Zahideen-e-dunya bhi rashk karte Aasi par Mustafa ﷺ ke qadmon mein dafn ho agar jaata
Ya Nabiyy-e-Rahmat ﷺ yeh mere dil ki hasrat hai Khaak ban ke Tayyabah ki kash! main bikhar jaata
Kash! aisa mil jaata ishq naam sunte hi Aankh bhi umand aati dil bhi gham se bhar jaata
Dil se ulfat-e-dunya bil-yaqeen nikal jaati Khaar un ke sahra ka dil mein gar utar jaata
Jazba-e-Ghazali do walwala-e-Bilali do Kash Murshidi jaisa mil tapan jigar jaata
Zair-e-Madinah tu chal raha hai hans hans kar Kash! le ke muztar qalb aur chashm-e-tar jaata
Be-dharak Madine mein dakhla hua tera Kash! paaon ke badle sar ke bal agar jaata
Rote rote mar jaata waqt-e-rukhsat-e-Tayyabah Kash! main Madine se laut kar na ghar jaata
Kash! furqat-e-Tayyabah se main rehta ranjeeda Har khushi ka lamha bhi rote hi guzar jaata
Kaam mera ban jaata jo teri nazar hoti Mera dooba beera bhi Ya Nabi ﷺ ubhar jaata
Laazmi hai har surat chhorna gunahon ka Bhai maut se pehle kash! tu sudhar jaata
Ghair ke tu fashion ko chhor de mere bhai Un ki sunnatein apna kyun hai dar-ba-dar jaata
Be-adad ghulam Aaqa ﷺ khuld ja rahe hain kash! Main bhi saath un ke Ya Shah-e-Bahr-o-Bar jaata
Ya Khuda! Muballigh mein sunnaton ka hota kash! Tere deen ki khidmat kuch jahan mein kar jaata
Un ka aa gaya Attar! un ka aa gaya Attar! Shor tha yeh har jaanib hashr mein jidhar jaata





