Karoon har aan mein teri ita'at Ya RasoolAllah Paye murshid bana de nek seerat Ya RasoolAllah
Andheri qabr hai aur haye! main bilkul akela hoon Ab aa bhi jaao ae Mehr-e-Risalat! Ya RasoolAllah
Baqi-e-paak mein so jaaoon main aaraam se ae kaash! Muyassar aayegi yun teri qurbat Ya RasoolAllah
Azab-e-qabr-o-mahshar se bachalo naar-e-dozakh se Khudara saath le ke jaao jannat Ya RasoolAllah
Jo ghussa nafs ki khatir mujhe aaqa kabhi aaye Mile sabr-o-shikaibai ki daulat Ya RasoolAllah
Mujhe ranj-o-alam ne har taraf se gher rakha hai Dukhi dil ko karam se dedo rahat Ya RasoolAllah
Ata kardo mujhe Islam ki tableegh ka jazba Main bas deta phiroon neki ki da'wat Ya RasoolAllah
Yaqeenan aap ka in'aam hai yeh mil gaye mujh ko Shahanshah-e-Bareilly Aala Hazrat Ya RasoolAllah
Mujhe tum maslak-e-Ahmad Raza par istiqamat do Banoon khidmat guzar-e-Ahl-e-Sunnat Ya RasoolAllah
Tumhara hi toh yeh lutf-o-karam hai Rahmat-e-Aalam! Ziya-ud-Din Madani se hai nisbat Ya RasoolAllah
Madine ki judai mein jo bechare tadapte hain Inhein dedo Madine ki ijazat Ya RasoolAllah
Musalman baaz aajayein shaha! fashion parasti se Karam kardo banein paband-e-sunnat Ya RasoolAllah
Mere wabastagaan ki aur mere saare qabeele ki Tumhein! Iblees se karna hifazat Ya RasoolAllah
Umar ka wasita a'daa-e-deen barbaad hojayein Mile har ek haasid ko hidayat Ya RasoolAllah
Shaha! is ijtima-e-paak mein jitne musalman hain Ho sab ki maghfirat ho sab pe rahmat Ya RasoolAllah
Tera Attar aana chahta hai tere rozay par Ata ho haaziri ki phir sa'adat Ya RasoolAllah





