Karun dam-ba-dam mein sana-e-Madinah Lagata rahe dil sada-e-Madinah
Khuda ki qasam! pyari pyari hai jannat Magar aashiqon ko rulaye Madinah
Jahan ke nazare hon aankhon se aujhal Nazar mein meri bas samaye Madinah
Khila de kali mere murjhaye dil ki Khudara tu aakar hawa-e-Madinah
Jise chahiye donon aalam ki daulat Woh kashkol le karke aaye Madinah
Inayat se Allah ki rehmaton ka Shab-o-roz darya bahaye Madinah
Paye peer-o-murshid tu farma de roshan Mera qalb-e-teerah ziya-e-Madinah
Shafa'at ki khairat ka jo hai talib Baraye ziyarat woh aaye Madinah
Na de Ya Ilahi! mujhe takht-e-shahi Bana de mujhe bas gada-e-Madinah
Shab-o-roz jalwe hain Mah-e-Arab ke Na kyon raat din jagmagaye Madinah
Tujhe wasta Ghous-o-Ahmad Raza ka Ata kar Ilahi qaza-e-Madinah
Baqi-e-Mubarak mein madfan ata ho Karam kar khudaya baraye Madinah
Meri khaak jis dam ude Ya Ilahi Ise kaash udaye hawa-e-Madinah
Padosi bana mujh ko jannat mein un ka Khudaye Muhammad baraye Madinah
Laga fajr mein bhai ghar ghar pe ja kar Zara dil laga kar "Sada-e-Madinah"
Jo de roz do "Dars-e-Faizan-e-Sunnat" Main deta hun us ko dua-e-Madinah
Safar jo kare qafilon mein musalsal Main deta hun us ko dua-e-Madinah
Jo paband hai ijtima'aat ka bhi Main deta hun us ko dua-e-Madinah
Jo neki ki dawat ki dhoomein machaye Main deta hun us ko dua-e-Madinah
Zuban par jo "Qufl-e-Madinah" lagaye Main deta hun us ko dua-e-Madinah
Jo aankhon pe Qufl-e-Madinah lagaye Main deta hun us ko dua-e-Madinah
Jo deewane furqat mein rote hain Aaqa Dikha do unhein ab faza-e-Madinah
De soz-e-jigar chashm-e-tar qalb-e-muztar Mujhe Ya Ilahi baraye Madinah
Yeh Attar Makke se zinda salamat Tadapta hua kaash aaye Madinah





