Karam ho jaan ko hai sakht khatra Ya RasulAllah Na pis jaaye kahin naacheez zarra Ya RasulAllah
Bulaaun kis tarah main apni kutiya mein tumhein sarwar Ke is qabil nahin hai mera hujra Ya RasulAllah
Agar chashm-e-karam ho to talatum-khez maujon se Abhi ho paar mera dooba bajra Ya RasulAllah
Main is duniya-e-faani mein bhi qabro hashr o jannat mein Har ik ja par lagaunga yeh naara Ya RasulAllah
Yaqeena jis ke aage chaudhwin ka chand sharmaaye Tumhara hai woh chehra nikhra nikhra Ya RasulAllah
Karam se tum bulaate ho karam hi se tum aate ho Tumhare hi karam se bakht sanwra Ya RasulAllah
Main ban jaunga deewana main ho jaunga mastaana Ata ho ishq ka gar ek zarra Ya RasulAllah
Tumhari yaad mein roya karoon tarpa karoon kar do Inayat apne gham ka zakhm gehra Ya RasulAllah
Rulaaye tera gham, duniya ke gham mein mere aansu ka Na ho barbaad Aaqa koi qatra Ya RasulAllah
Bula lo Gumbad-e-Khazra ki thandi thandi chhaaon mein Madine ka dikha do mujh ko sahra Ya RasulAllah
Sa'adat Karbala ki haaziri ki bhi inayat ho Dikha deeje mujhe Baghdad o Basra Ya RasulAllah
Nikalne waali hai ab rooh-e-muztar jism se jaanaan Karam! imaan ko hai shaitaan se khatra Ya RasulAllah
Hui jaati hai haaye umar zaaya jaanta hoon main Nahin aayega hargiz waqt guzra Ya RasulAllah
Karam! Attar-e-badaatwaar ke gulzaar par Aaqa Lagaaya hai khazaan ne sakht pehra Ya RasulAllah





