Karam hai Khuda ka, Khuda ki ata hai Mere haath mein daaman-e-Mustafa hai
Karam haajiyo! tum pe kaisa hua hai! Tumhein muzdah-e-maghfirat mil gaya hai
Mubarak! sharaf tum ko hajj ka mila hai Nazaarah Madine ka tum ne kiya hai
Khuda ke karam se bhari jholiyan hain Nabi ki inayat se daaman bhara hai
Sada khufiya tadbeer se Rab ki darna Suno! aakhirat ka isi mein bhala hai
Bila-aakhir Madine ko chhod aaye haaji Koi ghamzada hai, koi ro raha hai
Chhuta aah! Ka'bah, chhuta sabz gumbad Chhuta haaye Makkah, Madinah chhuta hai
Hai hijr-e-Madinah mein ranjeeda koi To Aaqa ke gham mein koi ghamzada hai
Madine se rukhsat ka ek ek lamha Muhammad ke ushshaq par jaan-gaza hai
Sukoon-e-dil-o-jaan Madine ki galiyan Wahan ka samaan kaif-o-masti bhara hai
Mujhe chashm-e-nam do, Madine ka gham do Aye Shah-e-Madinah! meri iltija hai
Main hajj karne aaun Madinah bhi dekhun Mere dil mein yeh aarzu Ya Khuda hai
Khuda! har musalman ko hajj-o-ziyarat Ka dede sharaf aajizana dua hai
Woh phoola samata nahi hai khushi se Madine ka jis ko bulawa mila hai
Bhara hai gunahon se a'maal-naama Shafa'at ki arz aye Shafee-ul-Wara hai
Gunahgar hoon main, siyah-kaar hoon main Khuda! maghfirat kar, meri iltija hai
Sharaf paaye Attar har saal hajj ka Khuda-e-Muhammad! yeh tujh se dua hai





