Jot se un ki jag ujiyala Woh suraj aur saare taare
Inna a'tainakal kauthar Tum Rab ke hum sab hain tumhaare
Yu'ti rabbuka hatta tarda Marzi-e-Rab hain tumhaare ishaare
Kalma-o-khutba, namaz-o-azaan mein Bolte hain sab bol tumhaare
Ahl-e-zameen ke naseebe chamke Jab woh farsh se arsh sidhaare
Hum ne naao bhanwar mein daali Tum us naao ke khewan haare
Hum ne hamesha kaam bigaade Tum ne bigde kaam sanwaare
Aaqa hashr mein izzat rakhna Aib na yeh khul jaayen hamaare
Hum ko na dekho aap ko dekho Gobed hain kis ke hain tumhaare
Dar ke kameen hain ghair nahi hain Phirte phiren kyun maare maare
Thodi zameen jo Madinah mein de do Aa paren qadmon mein tumhaare
Naz'a mein qabr mein iss Salik ko Chaand si shakal dikhana pyaare





