Jobanoñ par hai bahaar-e-chaman araa-e-dost Khuld ka naam na le bulbul-e-shaida-e-dost
Thak ke baithe to dar-e-dil pe tamanna-e-dost Kaun se ghar ka ujala nahin zaiba-e-dost
Arsa-e-hashr kaja mauqif-e-Mahmood kaja Saaz-e-hangamon se rakhti nahin yakta-e-dost
Mehr kis munh se jilodari-e-jaanañ karta Saya ke naam se bezaar hai yakta-e-dost
Marne walon ko yahan milti hai umr-e-javeed Zinda chhoregi kisi ko na maseeha-e-dost
Un ko yakta kiya aur khalq banai ya'ni Anjuman kar ke tamasha karen tanhai-e-dost
Ka'ba-o-arsh mein kehram hai nakami ka Aah kis bazm mein hai jalwa-e-yakta-e-dost
Husn-e-beparda ke parde ne mita rakha hai Dhoondne jaaen kahan jalwa-e-harja-e-dost
Shauq roke na ruke paaon uthae na uthe Kaisi mushkil mein hain Allah tamanna-e-dost
Sharm se jhukti hai mehrab ke sajid hain huzoor Sajda karwati hai ka'ba se jabeen-sa-e-dost
Taj walon ka yahan khaak pe maatha dekha Saare Daraon ki Dara hui darai-e-dost
Toor par koi, koi charkh pe ye arsh se paar Saare balaon pe bala rahi bala-e-dost
Anta feehim ne adoo ko bhi liya daman mein Aish-e-javeed mubarak tujhe shaida-e-dost
Ranj-e-a'da ka Raza chara hi kya hai jab unhein Aap gustakh rakhe hilm-o-shakebai-e-dost





