Jo un ki taraf meri chashm-e-iltifat nahin Koi yeh un se kahe chain sari raat nahin
Bajuz nigah-e-karam ke to kuch nahin manga Bigarte kyun ho bigarne ki koi baat nahin
Bohat hain jeene ke andaaz par mere hamdam Maza na ho jo khudi ka to kuch hayat nahin
Bawaqt-e-naz’a yaan lalcha ke dekhta kya hai Yeh daar-e-faani hai rahi ise subaat nahin
Utha jo Akhtar khasta jahan se kya gham hai Mujhe batao azizo! kise mumaat nahin





