Ae saba le ja Madine ko payam Arz karde un se ba sad-e-ehtiram
Ae makeen-e-Gumbad-e-Khazra salam Ae shakeeb-e-har dil-e-shaida salam
Ab Madine mein mujhe bulwaiye Apne be-kas par karam farmaiye
Bulbul-e-be-par pe ho jaaye karam Aashiyanas deh ba gulzar-e-Haram
Hind ka jungle mujhe bhata nahi Bas gayi aankhon mein Taiba ki zameen
Zindagi ke hain Madine mein maze Aish jo chahe Madine ko chale
Zindagi ke hain Madine mein maze Aish jo chahe Madine mein mare
Khuld ki khatir Madina chhod doon In khayal ast-o-mahal ast-o-junoon
Khuld ke talib se keh doon be-guman Talib-e-Taiba ki talib hai jinan
Mujh se pehle mera dil hazir hua Arz-e-Taiba kis qadar hai dilruba
Kitni pyari hai Madine ki chamak Roshni hi roshni hai ta falak
Kitni bheeni hai Madina ki mehak Bas gayi bu-e-Madina arsh tak
Ya RasoolAllah az rehmat nigar Dar Baqi-e-pak khwaham mustaqar
Bas anokhi hai Madina ki bahar Rashk-e-sad gul hain isi gulshan ke khaar
Kitni roshan hai yahan har ek shab Har taraf hai tabish-e-mah-e-Arab
Kya Madina ko zaroorat chand ki Mah-e-Taiba ki hai har su chandni
Noor wale sahib-e-me'raj hain Mehar-o-mah un ke sabhi mohtaj hain
Ae khusha bakht-e-rasa-e-Akhtar-at Baz aawardi gada ra bar-darat





