Sambhal ja ae dil-e-muztar Madinah aane wala hai Luta ae chashm-e-tar gohar Madinah aane wala hai
Qadam ban jaaye mera sar Madinah aane wala hai Bichhu rah mein nazar ban kar Madinah aane wala hai
Jo dekhe un ka naqsh-e-pa Khuda se woh nazar maangoon Charagh-e-dil chaloon le kar Madinah aane wala hai
Karam un ka chala yun dil se kehta rah-e-Taibah mein Dil-e-muztar tasalli kar Madinah aane wala hai
Madinah ki nichhawar hain ye mera dil meri aankhein Nichhawar hoon Madinah par Madinah aane wala hai
Ilahi main talab-gaar-e-fana hoon khaak-e-Taibah mein Ilahi kar nisar-e-dar Madinah aane wala hai
Madinah ko chala main be-niyaz-e-rahbar-e-manzil Rah-e-Taibah hai khud rahbar Madinah aane wala hai
Mujhe kheenche liye jaata hai shauq-e-koocha-e-jaanan Khincha jaata hoon main yaksar Madinah aane wala hai
Woh chamka gumbad-e-khazra woh shehar pur ziya aaya Dhalay ab noor mein paikar Madinah aane wala hai
Jahan se be-khabar ho kar chalo khuld-e-Madinah mein Chalo ab hosh ki pee kar Madinah aane wala hai
Madine mein khulay baab-e-hayat-e-nau ba-tarz-e-nau Badal daalo kohan daftar Madinah aane wala hai
Zara ae markab-e-umar-e-rawan chal barq ki soorat Dikha parwaz ke jauhar Madinah aane wala hai
Talab-gaar-e-Madinah tak Madinah khud hi aajaye Tu duniya se kinara kar Madinah aane wala hai
Madinah aagaya ab dair kya hai sirf itni si Tu khaali kar ye dil ka ghar Madinah aane wala hai
Falak shayad zameen par reh gaya khaak-e-guzar ban kar Bichhay hain rah mein akhtar Madinah aane wala hai
Fazaayein mehkai mehkai hain hawayein bheeni bheeni hain Basi hai kaisi mushk-e-tar Madinah aane wala hai
Qamar aaya hai shayad un ke talwon ki ziya lene Bicha hai chaand ka bistar Madinah aane wala hai
Muhammad ﷺ ke gada kuch farsh walay hi nahi dekho Woh aata hai Shah-e-Khawar Madinah aane wala hai
Ghubar-e-rah-e-anwar kis qadar pur-noor hai Akhtar Tani hai noor ki chadar Madinah aane wala hai





