Khwaja-e-Hind woh darbar hai aala tera Khusro-e-dahar hua maangne wala tera
Faiz Sultan-e-Sakhawat hai nirala tera Kabhi mehroom nahi phirta hai mangta tera
Teri chaukhat pe jo aaya woh bana Shah-e-Zaman Khusrawa-e-dahar mein farman hai chalta tera
Sadqa hai Khwaja-e-Ajmer ka tujh pe Akhtar Burj-e-rifat mein chamakta hai sitara tera





