Jo Madine ke tasawwur mein jiya karte hain Har jagah lutf-e-Madine ka liya karte hain
Ishq-e-Sarwar mein jo hasti ko fana karte hain Bhed ulfat ke faqat un pe khula karte hain
Maal-o-daulat ki dua hum na Khuda karte hain Hum toh marne ki Madine mein dua karte hain
Aag dozakh ki jala hi nahi sakti unko Ishq ki aag mein dil jin ke jala karte hain
Durr-e-nayab bilashak hain woh heere anmol Ashk Aaqa ki jo yaadon mein baha karte hain
Dard-o-aalaam mein taskeen unhein milti hai Naam unka jo museebat mein liya karte hain
Tu salaam un se dar-e-pak pe ja kar kehna Iltija tujh se hum ae baad-e-saba karte hain
Kyun phirein shauq mein hum maal ke maare maare Hum toh Sarkar ke tukron pe pala karte hain
Sunnaton ki woh bane rehte hain har dam tasveer Jaam jo un ki mohabbat ka piya karte hain
Sunnaton ke ae muballigh! ho mubarak tujhko Tujh se Sarkar bada pyaar kiya karte hain
Aap ki galiyon ke kutton pe tasadduq jaaun Ke Madine ke woh kuchon mein phira karte hain
Sun lo! nuqsaan hi hota hai bilakhir unko Nafs ke waaste ghussa jo kiya karte hain
Bilyaqeen aise musalman hain behad nadaan Jo ke rangeeni-e-duniya pe mara karte hain
Chaand suraj ka muqaddar bhi toh dekho aksar Gumbad-e-Khazra ke nazare kiya karte hain
Jhilmilate hue taaron ki bhi qismat hai khoob Gumbad-e-Khazra ke nazzare kiya karte hain
Masjid-e-Nabvi ke pur-noor manare har dam Gumbad-e-Khazra ke nazare kiya karte hain
Jhoom kar aate hain baarish liye baadal jab bhi Gumbad-e-Khazra ke nazare kiya karte hain
Ba-muqaddar hain Madine ke kabootar beshak Gumbad-e-Khazra ke nazare kiya karte hain
Rashk Attar ko un zarron par aata hai jo Un ke na'lain ke talwon se laga karte hain
Qabil-e-rashk hain Attar woh qismat wale Dafan jo meethe Madine mein hua karte hain





