Jo bhi Sarkar ka aashiq-e-zaar hai Us ki thokar pe daulat ka anbaar hai
Saltanat se use kya sarokaar hai Wastay iqtidaar us ke bekaar hai
Jo ke deewanaye Shah-e-Abrar hai Jis ka dil un ki ulfat se sarshaar hai
Un ki sunnat ka jo aayina-daar hai Bas wahi toh jahan mein samajhdaar hai
Aatash-e-shauq mein kaash! jalta rahoon Aur khayal-e-Madinah mein khoya rahoon
Bas "Madinah Madinah" hi karta rahoon Yeh dua meri aye Rabb-e-Ghaffar hai
Door duniya ke ho jayen ranj-o-alam Mujh ko mil jaye meethe Madine ka gham
Ho karam ho karam ya Khuda ho karam! Wasta us ka jo Shah-e-Abrar hai
Aah! isiyan ke toofan mein jaan-e-chaman Phans gaya hai safeena aye Shah-e-Zaman
Bas tumhein ek umeed ki ho kiran Tum jo chaho to beera mera paar hai
Ro raha hai yeh jo hichkiyan baandh kar Yaad aaya hai is ko Nabi ka nagar
Kya karoge tabeebo! ise dekh kar Chhor do yeh Madine ka beemar hai
Meethe meethe Madine ki mehki faza Har Musalman ko ya Ilahi! dikha
Us Shah-e-Karbala ka tujhe wasta Jo jawanan-e-Jannat ka sardar hai
Aah! ranj-o-alam ki nahin koi had Kaam karti nahin ab to aql-o-khirad
Al-madad aye mere rahnuma al-madad Paon zakhmi hain aur raah pur-khaar hai
Mujh ko soz-e-Bilal aur soz-e-Raza De do soz-e-Owais aur soz-e-Ziya
Wasta tujh ko Aaqa usi Ghauṣ ka Awliya ka jo Sultan-o-sardar hai
Bhar ke jaate hain mangte jahan jholiyan Bhool jaate hain gham, gham ke maaray jahan
Jis jagah dushmano ne bhi payi amaan Mere meethe Nabi ka woh darbaar hai
Woh Habib-e-Khuda Sarwar-e-ins-o-jaan Jis ke zer-e-tasarruf hain dono jahan
Us pe qurban dil us pe qurban jaan Jo Khuda ki khudai ka mukhtar hai
Aye muqaddar ki roothi hawao suno Haal-e-dil par na yun muskurao suno
Aandhiyo! gardisho! tum bhi aao suno Mustafa mera haami-o-ghamkhwar hai
Toote go sar pe koh-e-bala sabr kar Aye muballigh na tu dagmaga sabr kar
Lab pe harf-e-shikayat na la sabr kar Haan yahi sunnat-e-Shah-e-Abrar hai
Ya Habib-e-Khuda mujh pe chashm-e-ata Kar do tum az paye Ghauṣ-o-Ahmad Raza
Le kar umeed-e-afw-o-karam Sarwara Dar pe hazir tumhara gunahgar hai
Khwah daulat na de koi sarwat na de Chahay izzat na de koi shohrat na de
Takht-e-shahi na de aur hukumat na de Tujh se Attar tera talabgar hai





