Jitni der aankh gham-e-Shah mein tar rehti hai Ek ek saans ujaalon ka safar rehti hai
Chashm-e-ma-zaagh ajab noor ka ghar rehti hai Donon aalam pe ba-yak waqt nazar rehti hai
Khwab mein bhi jhalak un ki jo nazar aajaye Zindagi bhar hawas-e-baar-e-digar rehti hai
Hat ke Aqa ﷺ se tasawwur na karo rehmat ka Rehmat-e-Allah ki Sarkar ke ghar rehti hai
Kaali kamli ka zara daal do saaya Maula Kaali kamli mein muqaddar ki sahar rehti hai
Dil woh kis kaam ka jis mein gham-e-Sarkar ﷺ na ho Aab jab tak ke rahe qadr-e-gauhar rehti hai





