Jin ka laqab hai Mustafa ﷺ salli 'ala Muhammad Un se hamein Khuda mila salli 'ala Muhammad
Rooh-ul-Ameen to thak gaye aur woh Arsh tak gaye Arsh-e-bareen pukaar utha salli 'ala Muhammad
Khuld-e-bareen mein har jagah naam-e-Shah-e-Anam hai Khuld hai milk aap ka salli 'ala Muhammad
Dhoom hai un ki chaar soo zikr hai un ka koobakoo Mazhar-e-zaat-e-Kibriya salli 'ala Muhammad
Jo ho mareez-e-laadawa ya kisi gham mein mubtala Subh-o-masa parhe sada salli 'ala Muhammad
Mushkilein un ki hal huin qismatein un ki khul gayin Wird jinhon ne karliya salli 'ala Muhammad
Shiddat-e-jaan-kani ho jab naz'a ki jab ho kashmakash Wird-e-zabaan ho Ya Khuda salli 'ala Muhammad
Qabr mein jab farishtay aayein shakal-e-Khuda-numa dikhayein Parhta uthoon mein Ya Khuda salli 'ala Muhammad
Laaj gunah-gaar ki aap ke haath mein hai Nabi Bad hai magar hai aap ka salli 'ala Muhammad
Hashr mein Salik-e-Hazein thaam ke daaman-e-Nabi Arz kare yeh bar-mula salli 'ala Muhammad





