Jhuke na baar-e-sad ahsaan se kyun banaaye falak Tumhaare zarre ke partau sitaara-haaye falak
Yeh khaak-e-koocha-e-jaanan hai jis ke bosa ko Na jaane kab se taraste hain deedaha-e-falak
Afw-o-azmat-e-khaak-e-Madinah kya kahiye Usi turaab ke sadqe hai i'tida-e-falak
Yeh un ke jalwe ki thin garmiyaan shab-e-Isra Na laaye taab-e-nazar behke deedaha-e-falak
Qadam se un ke sar-e-arsh bijliyaan chamkin Kabhi the band kabhi wa the deedaha-e-falak
Main gham-naseeb bhi teri gali ka kutta hoon Nigaah-e-lutf idhar ho na yun sataye falak
Yeh kis ke dar se phira hai tu Najdi-e-be-deen Bura ho tera tere sar pe gir hi jaaye falak
Jo naam le Shah-e-Arsh-e-Bareen ka toh Akhtar Ba-sad adab paye tasleem sar jhukaye falak





