Jami-ul-hasanaat hain woh arfa-ud-darajaat woh Is jahan ke us jahan ke nosha woh baaraat woh
Husn-e-Taurat-o-Zaboor, Injeel-o-Quran ka jamaal Shajra-e-harf-e-Bukhari tarra-e-Mishkaat woh
Har ibadat hai adhoori unki shirkat ke baghair Har dua ke aage peeche, jaan-e-attahiyaat woh
Mooris-e-zuhd-o-tasawwuf mojid-e-ishq-o-jihad Ghaar mein masroof-e-girya qaid-e-ghazwaat woh
Mera imaan hai bata deta hai khud un ko Khuda Rakhte hain har ilm na-mawjood-o-mawjoodaat woh
Shukr-e-Rabb karte hue unki zaban thakti nahin Haath ka luqma bhi kar dete hain jab khairaat woh
Kya hai farq-e-banda-o-Maula Muzaffar kya khabar Aankh woh hain Haq Ta'ala ki zaban woh haath woh
Woh jaari-o-saari musalsal hain woh Kisi rukh se dekho mukammal hain woh
Zameen aasman aap ke mo'taqid Woh har raaz ke sharih-e-munfarid
Woh shahid woh munzir bashir-o-nazeer Woh hadi-e-darain khair-e-kaseer
Ghalat bandhanon se dilayen najaat Akele bhi woh raunaq-e-kainaat
Ataleeq-e-Quran-o-hikmat hain woh Rafeeq-e-bulandi-o-rif'at hain woh
Woh salaar-e-kaunain aalam panah Wohi hain hamare tumhare gawah
Woh har zakhm-e-khufya ke hain chara-gar Woh beenai afroz nazzara-gar
Meer-e-Haram Khusraw-e-bahr-o-bar Woh noorun ala noor khair-ul-bashar
Karen jis ki saanson ka woh tazkiya Badal daalen andar ka jughrafiya
Woh aulad se baap maan se azeez Woh har ahl-e-imaan ko jaan se azeez
Mah-o-kahkashan ke musafir Huzoor ﷺ Pas-e-ghaib-o-ghayib hain hazir Huzoor ﷺ
Qalam hain wohi loh-o-kaghaz wohi Har ik falsafay ka hain maakhaz wohi
Sada mo'jiza hai jhalak mo'jiza Woh hain sar se pairon talak mo'jiza
Sana hai adhoori jahan tak likhoon Main un ko kahan se kahan tak likhoon





