Jalta hoon us pahad pe loban ki tarah Ghar-e-Hira bhi taza hai Quran ki tarah
Woh maan lein agar toh yeh nisbat bhi kam nahi Un ke qadam ki khaak hoon insaan ki tarah
Band aankh se karoon main khuli aankh ka safar Mera shaoor hai mere wijdar ki tarah
Kab jaane maut chal pade kandhe pe daal kar Rehta hoon main bandhe hue saamaan ki tarah
Rakkha hua hai Aap ko seene ki rahal par Lipta hua hoon Aap se juzdaan ki tarah
Utre har ek saans bhi mere wajood par Allah aur Rasool ﷺ ke farmaan ki tarah
Karta rahoon main khud ko nichawar Huzoor ﷺ par Abu Bakr ki tarah kabhi Usman ki tarah
Ae kaash naat parhna Muzaffar naseeb ho Mujh ko bhi un ke saamne Hassan ki tarah





