Jald hum aazim-e-gulzar-e-Madinah honge Hazir-e-dargah-e-sardar-e-Madinah honge
Ab to noorani chaman-zar-e-Madinah honge Saamne ab mere kohsar-e-Madinah honge
Sabz gumbad ki wahan khoob baharein hongi Roobaru phir mere ashjar-e-Madinah honge
Wajd aajayega qismat ko bhi us dam wallah Saamne jab mere sarkar-e-Madinah honge
Un ki rahmat se jo mil jaaye Baqi-e-Gharqad Bilyaqeen qabr mein anwar-e-Madinah honge
Qafilay ki yun Madine se judai hogi Muztar-o-ghamzadah zawwar-e-Madinah honge
Naz mein qabr mein mahshar mein woh paayein aaram Dar-e-fani mein jo bimar-e-Madinah honge
Hashr se kyun ho pareshan gunahgaro tum Apne hami wahan sarkar-e-Madinah honge
Un ko hasil mere Aqa ki shafa'at hogi Jo koi hazir-e-darbar-e-Madinah honge
Meri sarkar ka aayega bulawa un ko Jo koi dil se talabgar-e-Madinah honge
Naz mein aashiqon ki eid hi ho jaayegi Un ke sirhane to sarkar-e-Madinah honge
Hashr mein jayenge Attar yun InshaAllah Apni darhi mein saje khar-e-Madinah honge





