Jabeen pe naqsh-e-dar-e-Mustafa ﷺ ke laya hoon Khuda ka qurb bahut door ja ke laya hoon
Ab apni sehat-e-batin ka mujh ko fikr nahin Tabeeb-e-ishq se nuskhe dua ke laya hoon
Nishan-e-pa-e-Muhammad ﷺ the ja-namaz meri Main ja-namaz se Kaaba utha ke laya hoon
Har ek sang ko chata tha meri aankhon ne Nazar mein zaiqay Ghar-e-Hira ke laya hoon
Mehakte rehte hain andar gire hue aansu Yeh itr-e-ishq wahin se laga ke laya hoon
Karoon ga jism badar ab har ek siyahi ko Charagh khoon ke andar jala ke laya hoon
Muzaffar apne watan ki fiza sajaoon ga Gali se Aap ﷺ ki jhonke hawa ke laya hoon





