Jab woh chehra dikhai deta hai Ishq sajda dikhai deta hai
Kya idhar se Huzoor ﷺ guzray hain Chaand sa yeh dikhai deta hai
Ro raha hai yeh kaun khalwat mein Ghaar-e-Sidra dikhai deta hai
Sang-e-Aswad ko is liye choomon Un ka bosa dikhai deta hai
Kis qadar mutma'in hain meray Huzoor ﷺ Ghar mein faqa dikhai deta hai
Sara Quran ba se seen talak Un ka khutba dikhai deta hai
Kis ke naqsh-e-qadam pe chalta hoon Saaf rasta dikhai deta hai
Bakhuda kis qadar hayat-afroz Un ka roza dikhai deta hai
Sara jughrafiya Muzaffar ko Un ka hujra dikhai deta hai





