Jab muazzin chheṛta hai silsila takbeer ka Tair jaata hai fazaon mein lahoo Shabbir ka
Deen ki buniyaad jo apne saron par rakh gayi Seekh lo us Aal-e-Paighambar se dhab tameer ka
Us se poocho mar ke ho jaate hain zinda kis tarah Ghoont daala jis ki shah-rag ne gala shamshir ka
Girte girte bhi sambhaala de gaya Islam ko Aakhri hichki se kaam us ne liya shahteer ka
Sabr ki zarbein laga kar Zaid ke farzand ne Tod daala halqa halqa zulm ki zanjeer ka
Ae mere Quran padhne waalo us ko bhi padho Ik saheefa woh bhi hai Quran ki tafseer ka
Kya baseerat thi Muzaffar Ibn-e-Shehr-e-Ilm ki Apne haathon se likha har faisla taqdeer ka





