Jab kabhi hum ne gham-e-janan ko bhulaya hoga Gham-e-hasti ne hamain khoon rulaya hoga
Daman-e-dil jo su-e-yaar khincha jata hai Ho na ho us ne mujhe aaj bulaya hoga
Aankh utha kar to zara dekh mere dil ki taraf Teri yaadon ka chaman dil mein sajaya hoga
Gardish-e-daur hamain chhed na itna warna Apne naalon se abhi hashr uthaya hoga
Doob jaaye na kahin gham mein hamare aalam Hum jo ro denge to behta hua dariya hoga
Sochiye kitna haseen hoga woh lamha Akhtarؔ Sar-e-baaleen pe dam-e-marg woh aaya hoga





