We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Iss Tarah Tu Ne Har InsaanNot Verified

Muzaffar Warsi

Is tarah tu ne har insaan se mohabbat ki thi Adamiyat ne tere haath pe bai'at ki thi


Waqt ke aakhri lamhay bhi kharay thay peechay Sahar-o-shaam ki jab tu ne imamat ki thi


Parwarish paayi thi tehzeeb ne aangan mein tere Tere bachpan ne bhi ustadi-e-hikmat ki thi



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Har payambar tere saaye mein lipat kar aaya Teri aawaz ne takmeel-e-haqeeqat ki thi


Tere ik saans ki qeemat bhi koi kya de ga Tahi dasti mein bhi shaahon ki kafalat ki thi


Dekh leta tha pas-e-pusht bhi aagay ki tarah Tujh ko Khaliq ne woh beenayi-o-dali'at ki thi


Us ka ik rukh hi ata kar meri be-sabri ko Tu ne har haal mein jis tarah qana'at ki thi


Koi bhi aaina kya is ke muqabil thehray Saadgi ne teri, aaraish-e-ummat ki thi


Kaash usi tarah Muzaffar teri taqleed karay Jis tarah teri sahaba ne ita'at ki thi

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah