Is taraf bhi ik nazar mehr-e-darakhshan-e-jamal Hum bhi rakhte hain bohat muddat se arman-e-jamal
Tum ne achon pe kiya hai khoob faizan-e-jamal Hum badon par bhi nigah-e-lutf Sultan-e-jamal
Ik ishare se kiya shaq mah-e-taban aap ne Marhaba sad marhaba salli ala shan-e-jamal
Teri jaan bakhshi ke sadqe ae Masiha-e-zaman Sangrezon ne parha kalma tera jaan-e-jamal
Kab se baithe hain lagaye lau dar-e-janan pe hum Haye kab tak deed ko tarsein fidayan-e-jamal
Farsh aankhon ka bichao rah-e-guzar mein aashiqo Un ke naqsh-e-pa se honge mazhar-e-shan-e-jamal
Marke mitti mein mile woh Najdiyo bilkul ghalat Hasb-e-sabiq ab bhi hain marqad mein Sultan-e-jamal
Garmi-e-mahshar gunahgaro hai bas kuch der ki Abr ban kar chhaein ge gesu-e-Sultan-e-jamal
Karke dawa humsari ka kaise munh ke bal gira Mit gaya woh jis ne ki tauheen Sultan-e-jamal
Hasidan-e-Shah-e-Deen ko dijiye Akhtar jawab Dar haqeeqat Mustafa pyare hain Sultan-e-jamal





