Is qadar teri hararat mere imaan mein aaye Maut bistar pe na aaye mujhe maidan mein aaye
Saari duniya ke Yazeedon ko mita sakta hai Tera eesaar agar aaj ke insaan mein aaye
Koi kirdaar Husain ibn-e-Ali sa le kar Koi bhi qaum kisi ahd ke aiwan mein aaye
Jab naveen shab ke charaghon ko bujha kar dekhun Tere andar ka ujala mere wijdaan mein aaye
Jis tarah ret pe bikhre the Muhammad ﷺ zaade Is tarah to koi aandhi bhi na khaliyan mein aaye
Karbala us ke gharane ki ye sab laashein hain Tazkira jis ka har ik aayah-e-Quran mein aaye
Jab kisi Shimr ka khanjar mujhe lalkarta hai Zarb-e-Shabbir ki aawaaz mere kaan mein aaye
Us ke jamhoor ke lehje mein dua maangta hoon Mulk mera na Ilahi kisi boohraan mein aaye
Har taraf aaj Muzaffar na bahe khoon is ka Apne aslaaf ka jazba jo musalmaan mein aaye





