We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ilm Muhammad Adal MuhammadNot Verified

Muzaffar Warsi

Ilm-e-Muhammad ﷺ adl-e-Muhammad ﷺ pyaara Muhammad ﷺ Saari aala qadron ka shahkaar Muhammad ﷺ


Hum ijmali kya jaa'in tafseel mein un ki Kya dunya kya uqba sab tehveel mein un ki Waqt ke beech Muhammad ﷺ, waqt ke paar Muhammad ﷺ


Suraj chand sitare un ke zer-e-saaya Jo un tak pahuncha woh roshniyan le aaya Baantein kya kya chamkeele kirdar Muhammad ﷺ


Bandon se kya hon gi tehqiqat-e-Khuda ki Masjid-e-hasti ka raqba hai zaat-e-Khuda ki Saare paighambar mehrabein, minar Muhammad ﷺ


Dhoop gunahon ki bhi saaya-daar hai kitni Meri darweshi sarmaya-daar hai kitni Mere lab par aaya laakhon baar Muhammad ﷺ



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Apni apni tehzeebain sab bhool chuke hain Sab patthar ke ehd ki jaanib laut rahe hain Dunya ki har qoum ko hain darkaar Muhammad ﷺ


Apni khaas inayat sarf bhi farmate hain Khud us ki tausee-e-zarf bhi farmate hain Ishq jise dete hain be-miqdar Muhammad ﷺ


Kyun na Muzaffar mere paon pade khush-bakhti Meri gardan mein bas un ke naam ki takhti Meri sab khushiyan saare tehwar Muhammad ﷺ

Download Lyrics & Access Offline - Install Our App Now!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah