Ilm aaghaz mein sipara-e-Quran se parha Aur jo kuch bhi parha Rabb ke dabistan se parha
Zindagi apni, mohabbat ke hawaley kar di Ik yehi harf-e-haseen koocha-e-janan se parha
Zaat kyun Aap ki hoti na fana fit-tauheed Chehra-e-Khaliq-e-Konain dil-o-jaan se parha
Khushk mausam mein bhi rehta tha baharon ka hajoom Sabz khushbu ka sabaq zard gulistan se parha
Apne Aaqa ke woh paidaishi deewane thay Qissa-e-ishq-e-Nabi, maktab-e-Yazdan se parha
Kaat di umr-e-aziz Aap ne chalte chalte Mushaf-e-shauq-e-safar, gardish-e-dauran se parha
Un ki parchhain bhi thi aaina khanay ki tarah Parhne walon ne unhein deeda-e-hairan se parha





